Rimjhim ki khan khan boondon mein
Doorwa ke hare galiyaron mein
tum cham cham karti aati ho
aur is cham cham aur chan chan se
unchuye taar ched jati ho
boondon ki khanak bijli ki kadak
aur meghon ke garjan se
ik saman aisa bandh jata hai
tujhko paane ki chah mein man
yah tadap tadap kar gata hai
mere dil ki malika tu hi bata
kaise tera satkar karun
trashit hriday tripti paaye
kya aisa abhyas karoon
tere kajarare naino ki
wah kashish nahin main bhula hoon
chal chal karti un aankhon ki
viraha ko nahin main bhula hoon
main lautunga priye dheeraj dharna
sukhe chahe waqt ka jharna
antkaal ke antim chad mein bhi
tum mera intazaar karna
tum mera intazaar karna